Jabin-e-shauq Par Koi Hua Hai Mehrban Shayad
jabin-e-shauq par koi hua hai mehrban shayad
pae sajda bulata hai kisi ka aastan shayad
dam-e-naza wo aae aur ziyarat ho gai un ki
mukammal ho gai ab zindagi ki dastan shayad
KHizan ka nam anjam-e-bahaaran ki KHabar sun kar
gulistan se kinara-kash hua hai baghban shayad
hansa karte hain akasr log diwanon ki baaton par
jahan wale nahin samjhe mohabbat ki zaban shayad
haram se mujh ko raghbat hai na but-KHane se dilchaspi
mere sajdon ki qismat mein hai un ka aastan shayad
mohabbat mustaqil ek gham hai jis ko jaanta hun main
meri duniya mein koi bhi nahin hai shadman shayad
qafas tak aa gae uDte hue tinke nasheman ke
hawa ke dosh par aaya yahan tak aashiyan shayad
jabin-e-bandagi jis dam banai KHaliq-e-kul ne
usi ke sath Dali hai bina-e-astan shayad
wafadari ghurur-e-be-ruKHi ko KHatm kar degi
ziyaada to nahin kuchh din rahen wo bad-guman shayad
jo dushman kah raha hai sab ghalat us ko samajhte hain
haqiqat mein wahi hai be-haqiqat dastan shayad
jahan-e-dil to hai nazdik 'wasil' dur kyun jao
isi duniya mein rahta hai tumhaara mehrban shayad
ijazat bazyabi ki na de wo pasban shayad
na pahunche KHwab-gah-e-naz tak meri fughan shayad
(794) Peoples Rate This