Hasrat-e-did Rahi Did Ka KHwahan Ho Kar
hasrat-e-did rahi did ka KHwahan ho kar
dil mein rahte hain magar rahte hain arman ho kar
wo mere pas hain ehsas ye hota hai zarur
is qadar dur hain nazdik rag-e-jaan ho kar
hosh mein lane ki tadbir na kar ai naseh
main ne paya hai unhen chaak-e-gareban ho kar
KHana-e-dil hai tumhaara tumhin rah sakte ho
ghair ko haq ye nahin hai rahe mehman ho kar
dar-e-jaanan pe pahunchna hai to is tarah pahunch
chaak-dil chaak-jigar chaak-gareban ho kar
ruKH ka shaidai hai mail-ba-asir-e-gesu
kahin kafir na wo ho jae musalman ho kar
tar daman ke uDe ishq ko mearaj mili
zeb-e-gulshan hua gul chaak-gareban ho kar
aa gaya hazrat-e-sufi ke dar-e-daulat par
kya karun ab guhar-o-lal-ba-daman ho kar
lazzat-e-gham pe karun rahat-e-kaunain nisar
koi aae na mere dard ka darman ho kar
jab koi apni haqiqat se juda hota hai
Thokaren khata hai duniya mein pareshan ho kar
is tarah jalwa dikhate hain na main dekh sakun
dil mein rahte hain magar aankh se pinhan ho kar
un ka aaina hun aaine mein hai aks-e-jamal
kyun na dekhen wo mujhe ghaur se hairan ho kar
un ke jalwon mein jo kho jaun to DhunDo na mujhe
kaun milta hai kise wasil-e-jaanan ho kar
baad-az-marg inayat mein tafriq na ki
dil mein taswir rahi aap ki ehsan ho kar
waqt aisa bhi paDa baadiya-paimai mein
rah mein gul jo mile KHar-ba-daman ho kar
(830) Peoples Rate This