Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_7c2e5f27644b9fcacbb67830407adb70, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Zamir-e-nau-e-insani Ke Din Hain - Abu Mohammad Sahar Poetry In English - Darsaal

Zamir-e-nau-e-insani Ke Din Hain

zamir-e-nau-e-insani ke din hain

sadaqat ki jahanbani ke din hain

tilism-e-subh-kazib KHud hi TuTa

tulua-e-subh-e-nurani ke din hain

jumud-e-fikr toDa phir bashar ne

uruj-e-zehn-e-insani ke din hain

hukumat-e-waqf-e-istibdad kyun ho

usi nukte ki arzani ke din hain

hue be-dast-o-pa zalim purane

sitam ki KHana-virani ke din hain

khuli har-fard-o-har-millat ki qismat

ki aazadi ki sultani ke din hain

'sahar' wajib hai tazim-e-taghayyur

ye mana hum ne hairani ke din hain

(784) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zamir-e-nau-e-insani Ke Din Hain In English By Famous Poet Abu Mohammad Sahar. Zamir-e-nau-e-insani Ke Din Hain is written by Abu Mohammad Sahar. Read famous Poem Zamir-e-nau-e-insani Ke Din Hain for youth and Student by Abu Mohammad Sahar. Free Download Zamir-e-nau-e-insani Ke Din Hain in PDF.