Ye To Nahin Ki Baadiya-paima Na Aaega
ye to nahin ki baadiya-paima na aaega
ai dasht-e-arzu koi hum sa na aaega
chalna nasib-e-zist hai yun hi chale chalo
is raste mein shahr-e-tamanna na aaega
rah-e-wafa mein qatra-e-shabnam bhi hai bahut
jis se bujhegi pyas wo dariya na aaega
KHud ho sake to apne andhere ujal lo
ab koi sahab-e-yad-e-baiza na aaega
ai ahl-e-dil KHamosh ki ye ja-e-sabr hai
dukh to yunhi rahenge masiha na aaega
gahe wufur-e-shauq to gahe hujum-e-yas
sab kuchh to aaega hamein jina na aaega
baiThe rahen 'sahar' yunhi diwar o dar liye
apna jise kahen koi aisa na aaega
(792) Peoples Rate This