Phulon Ki Talab Mein ThoDa Sa Aazar Nahin To Kuchh Bhi Nahin
phulon ki talab mein thoDa sa aazar nahin to kuchh bhi nahin
KHud aa ke jo uljhe daman se wo KHar nahin to kuchh bhi nahin
ho din ki fazaon ka sargam ya bhigti raaton ka aalam
kitna hi suhana ho mausam dildar nahin to kuchh bhi nahin
kyun ahl-e-sitam ka dil toDen phir shahr mein chal kar sar phoDen
sahra-e-junun ko ab chhoDen diwar nahin to kuchh bhi nahin
har mauj-e-bala ek sahil hai girdab hi apna hasil hai
ye kashti-e-dil wo qatil hai manjhdar nahin to kuchh bhi nahin
kya miThe bol sunate ho kya git anokhe gate ho
kya naghmon par itraate ho jhankar nahin to kuchh bhi nahin
ye nam o numud ki KHwahish kya ye ilm o fan ki numaish kya
apna to aqida hai ye 'sahar' meyar nahin to kuchh bhi nahin
(940) Peoples Rate This