KHwabon Ka Nashsha Hai Na Tamanna Ka Silsila
KHwabon ka nashsha hai na tamanna ka silsila
ab rah gaya hai bas gham-e-duniya ka silsila
aabaad dur dur hain viran se kuchh maqam
ye bastiyan hain ya koi sahra ka silsila
gardish mein jaan-o-dil hon to kyunkar mile sukun
yaro nahin ye saghar-o-mina ka silsila
do hi qadam chale the kisi ki talash mein
phir mil saka na naqsh-e-kaf-e-pa ka silsila
insan ko silsilon se milegi najat kya
duniya ke baad hai abhi uqba ka silsila
apne wajud se bhi gile par hua tamam
itna baDha shikayat-e-beja ka silsila
ek shahr-e-tishna-kaam mein jite hain yun 'sahar'
aata hai roz KHwab mein dariya ka silsila
(1070) Peoples Rate This