Kali Ghazal Suno Na Suhani Ghazal Suno
kali ghazal suno na suhani ghazal suno
mausam ye kah raha hai ki dhani ghazal suno
jaga wo dard dil mein ki aansu nikal paDe
barsa hai aaj TuT ke pani ghazal suno
afsana-e-junun nahin paband-e-mah-o-sal
yaad aa raha hai daur-e-jawani ghazal suno
apni tamam aql-parasti ke bawajud
ye zindagi hai ab bhi diwani ghazal suno
yun to suKHan ke aur bhi pairae hain magar
kahni hai hum ko dil ki kahani ghazal suno
hon zaKHm-e-ishq ya ki zamane ke dard-o-dagh
har gham yahan hai dushman-e-jaani ghazal suno
KHun-e-jigar mein fikr ki gahraiyan bhi hain
gar hai mizaj-e-falsafa-dani ghazal suno
sar par hawa-e-sang-e-malamat chali bahut
lekin ghazal ne haar na mani ghazal suno
zeb-e-shafaq hai nau-e-bashar ka lahu 'sahar'
har shai hai is jahan ki fani ghazal suno
(922) Peoples Rate This