Har KHauf Har KHatar Se Guzarna Bhi Sikhiye
har KHauf har KHatar se guzarna bhi sikhiye
jina hai gar aziz to marna bhi sikhiye
ye kya ki Dub kar hi mile sahil-e-najat
sailab-e-KHun se par utarna bhi sikhiye
aisa na ho ki KHwab hi rah jae zindagi
jo dil mein Thaniye use karna bhi sikhiye
bigDe bahut kashakash-e-naz-o-niyaz mein
ab us ki anjuman mein sanwarna bhi sikhiye
hota hai pastiyon ke muqaddar mein bhi uruj
ek mauj-e-tah-nashin ka ubharna bhi sikhiye
auron ki sard-mehri ka shikwa baja 'sahar'
KHud apne dil ko pyar se bharna bhi sikhiye
(963) Peoples Rate This