Chand Ka Raqs Sitaron Ka Fusun Mangti Hai
chand ka raqs sitaron ka fusun mangti hai
zindagi phir koi andaz-e-junun mangti hai
muddaten guzrin ki yaKH-basta hue qalb-o-jigar
ghairat-e-ishq magar soz-e-darun mangti hai
faiz-e-mausam tha parinde hue aazad magar
KHu-e-sayyaad wahi said-e-zabun mangti hai
fasl-e-gul ke liye kya jaan pe khele koi
ab to har mauj-e-hawa tohfa-e-KHun mangti hai
kuchh to ai yurish-e-alam-o-hawadis dam le
gardish-e-waqt bhi thoDa sa sakun mangti hai
KHubi-e-fan nahin parwarda-e-awurd 'sahar'
ruh-e-taKHliq dam-e-kun-fa-yakun mangti hai
(904) Peoples Rate This