Ab Tak Ilaj-e-ranjish-e-be-ja Na Kar Sake
ab tak ilaj-e-ranjish-e-be-ja na kar sake
ek umr mein bhi husn ko apna na kar sake
thi ek rasm-e-ishq so hum ne bhi ki ada
duniya mein koi kaam anokha na kar sake
kal raat dil ke sath bujhe is tarah charagh
yaadon ke silsile bhi ujala na kar sake
ab is se kya gharaz hai ki anjam kya hua
ye to nahin ki teri tamanna na kar sake
KHud ishq hi ko de gae ruswaiyon ke dagh
wo raaz-e-husn hum jinhen ifsha na kar sake
zauq-e-junun ko ras nahin tang bastiyan
sahra na ho to kya koi diwana kar sake
har imtiyaz us ke liye hech hai 'sahar'
jo apni zindagi ko tamasha na kar sake
(803) Peoples Rate This