Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_7f9680b3f71fa8d81c911d5d9a8d06e0, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Yaad-e-KHuda Kar Bande Yun Nahaq Umr Kun Khona Kya - Abroo Shah Mubarak Poetry In English - Darsaal

Yaad-e-KHuda Kar Bande Yun Nahaq Umr Kun Khona Kya

yaad-e-KHuda kar bande yun nahaq umr kun khona kya

haq chaha sui kuchh hoga un logon sin hona kya

koi shah kui gada kahawe jaisa jis ka bana nasib

jo kuchh hua tisi pe KHush rah nan in logon sen hona kya

sair safar kar dekh tamasha qudarat ka sab aalam ka

ghar kun jhonk bhaD ke bhitar aashiq ho kar kona kya

jaan mamola jagat piyara jin dekha so ThiThak raha

chanchal nipaT achile nainan tan ke aage mirig chhuna kya

dagh ke haikal anjhuwan ki mala zinat-e-ishq ki yahi nishani

phiren mast jo birah ke tan kun moti lal pirona kya

aaj 'abru' dil kun hamare shauq ne us ke magan kiya hai

jag anaDi dekh tamasha ishq laga tab sona kya

(772) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yaad-e-KHuda Kar Bande Yun Nahaq Umr Kun Khona Kya In English By Famous Poet Abroo Shah Mubarak. Yaad-e-KHuda Kar Bande Yun Nahaq Umr Kun Khona Kya is written by Abroo Shah Mubarak. Read famous Poem Yaad-e-KHuda Kar Bande Yun Nahaq Umr Kun Khona Kya for youth and Student by Abroo Shah Mubarak. Free Download Yaad-e-KHuda Kar Bande Yun Nahaq Umr Kun Khona Kya in PDF.