Tumhaari Jab Sin Aai Hain Sajan Dukhne Ko Lal Ankhiyan
tumhaari jab sin aai hain sajan dukhne ko lal ankhiyan
hui hain tab sin duni KHushnuma sahab-e-jamal ankhiyan
qayamat aan hai is waqt mein un par nazakat ki
dekho aai hain dikhne kis jhamak sin ye chhinal ankhiyan
aise kyun TuT aain josh sin pyare hararat ke
lagi thi garm ho kar is qadar ye kis ke nal ankhiyan
ilaj un ka hai pyare aashiqon ke sang ki haldi
rangen is mein kaho kapDa karen apna rumal ankhiyan
mera dil poTli ki tarah un par le ke Tuk phero
mujarrab ToTka hai is mein aa jaangi bahaal ankhiyan
zarar hai tund ho kar dekhna bimar kun pyare
Tuk ek parhez kar aashiq pe do din mat nikal ankhiyan
mera dukhta hai ji ye anmanahaT dekh kar un ka
ubalta hai bahut jab dekhta hun main malal ankhiyan
nazar badta hun apni jaan-o-ji ko main karun sadqe
agar dewen mujhe apni shifa hone ki fal ankhiyan
saza hai un ke tain ye dard thoDa sa ki karti thin
hamesha chashm-poshi 'abru' ka dekh haal ankhiyan
(787) Peoples Rate This