Tira-rangon Ke Hua Haq Mein Ye Tap Karna Dawa
tira-rangon ke hua haq mein ye tap karna dawa
tirgi jati rahi chehre ki aur upchi safa
kya sabab tere badan ke garm hone ka sajan
aashiqon mein kaun jalta tha gale kis ke laga
tu gale kis ke lage lekin kinhi be-rahm ne
garm dekha hoega tere tain ankhiyan mila
bul-hawas napak ki az-bas-ki bhaari hai nazar
parda-e-ismat mein tu apne tain us sin chhupa
ashk-e-garm o aah-e-sard aashiq ke tain waswas kar
KHub hai parhez jab ho muKHtalif aab-o-hawa
garm-KHui sin pasheman ho ke Tuk lao araq
tap ki haalat mein pasina aawna ho hai bhala
dil mera tawiz ke jun le ke apne pas rakh
to tufail-e-hazrat-e-ashiq ke ho tujh kun shifa
tursh-goi chhoD de aur talKH-goi tark kar
aur khana jo ki ho KHushka tari so kar ghiza
'bu-ali' hai nabz-dani mein butan ki 'abru'
us ka is fan mein jo nusKHa hai so hai ek kimiya
(700) Peoples Rate This