Rata Hai Abruwan Par Hath Aksar Lawabaali Ka
rata hai abruwan par hath aksar lawabaali ka
hunar sikha hai us shamshir-zan ne bed-e-mali ka
har ek jo uzw hai so misra-e-dilchasp hai mauzun
magar diwan hai ye husn sar-ta-pa jamali ka
nagin ki tarah dagh-e-rashk sun kala hua lala
liya jab nam gulshan mein tumhaare lab ki lali ka
raqiban ki hua nachiz baatan sun ke yun bad-KHu
wagarna jag mein shohra tha sanam ki KHush-KHisali ka
hamare haq mein nadani sun kahna ghair ka mana
gila ab kya karun us shoKH ki main KHurd-sali ka
yahi charcha hai majlis mein sajan ki har zaban upar
mera qissa goya mazmun hua hai sher-e-haali ka
tumhaara qudrati hai husn aaraish ki kya hajat
nahin muhtaj ye bagh-e-sada-sarsabz mali ka
lage hai shirin us ko sari apni umr ki talKHi
maza paya hai jin aashiq nin tere sun ke gali ka
mubarak nam tere 'abru' ka kyun na ho jag mein
asar hai yu tere didar ki farKHunda-fali ka
(829) Peoples Rate This