Rakhe Koi Is Tarah Ke Lalchi Ko Kab Talak Bahla
rakhe koi is tarah ke lalchi ko kab talak bahla
chali jati hai farmaish kabhi ye la kabhi wo la
mujhe in kohna aflakon mein rahna KHush nahin aata
banaya apne dil ka hum nin aur hi ek nau-mahla
rahi hai sar nawa sanmukh gai hai bhul mansuba
teri ankhiyon nin shayad mat ki hai nargis-e-shahla
kiya tha ghair nin ham-rang ho kar wasl ka sauda
tumhaara dekh mukh ka aaftab us ka to dil dahla
kaf-e-pa yar ka hai phul ki pankhuDi se nazuk-tar
mera dil narm-tar hai us ke hote us se mat sahla
jawabon mein ghazal ke 'abru' kyun kahl karta hai
tu ek adna tawajjoh bich kah leta hai mat kahla
(827) Peoples Rate This