Nigah Teri Ka Ek ZaKHmi Na Tanha Dil Hamara Hai

nigah teri ka ek zaKHmi na tanha dil hamara hai

jagat sara teri in shoKH do ankhiyon ka mara hai

hue hain aashiqan ki fauj mein hum sahib-e-naubat

bajaya aah ke Danke seti dil ka naqara hai

hamara din-o-mazhab ai sajan teri itaat hai

KHuda ka kyun na ho banda ki jin tujh kun sanwara hai

bujha ai bewafa pani sun apni mehrbani ke

dahakta dil manin mere tere gham ka angara hai

KHajil ho kar meri anjhuwan ki jhaD sen abr pani ho

taDapna dekh kar dil ka hamara barq haara hai

hamein to raat din dil sin tumhaari yaad hai pyare

tuman nen is qadar pyare haman kun kyun bisara hai

nazar karna karam sin 'abru' pe tum kun lazim hai

kisi laeq nahin to kya hua aaKHir tumhaara hai

(816) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nigah Teri Ka Ek ZaKHmi Na Tanha Dil Hamara Hai In English By Famous Poet Abroo Shah Mubarak. Nigah Teri Ka Ek ZaKHmi Na Tanha Dil Hamara Hai is written by Abroo Shah Mubarak. Read famous Poem Nigah Teri Ka Ek ZaKHmi Na Tanha Dil Hamara Hai for youth and Student by Abroo Shah Mubarak. Free Download Nigah Teri Ka Ek ZaKHmi Na Tanha Dil Hamara Hai in PDF.