Nalan Hua Hai Jal Kar Sine Mein Man Hamara
nalan hua hai jal kar sine mein man hamara
pinjre mein bolta hai garm aaj agan hamara
piri kaman ki jyun mane nahin akaD kun
hai zoaf bich duna ab bankpan hamara
chalta hai jiw jis par jate hain us ke pichhe
saude mein ishq ke hai ab ye chalan hamara
milne ki hikmaten sab aati hain hum ko ek ek
go bu-ali ho launDa khata hai fan hamara
majlis mein aashiqon ki aur hi bahaar ho ja
aawe jabhi rangila gul-pairahan hamara
is waqt jaan pyare hum pawate hain ji sa
lagta hai jab badan se tere badan hamara
ye muskuraona hai to kis tarah jiyunga
tum ko to ye hansi hai par hai maran hamara
izzat hai jauhri ki jo qimti ho gauhar
hai 'abru' haman kun jag mein suKHan hamara
(774) Peoples Rate This