Na Pawe Chaal Tere Ki Piyare Ye Dhalak Dariya
na pawe chaal tere ki piyare ye Dhalak dariya
chala jawe agarche rowta mahshar talak dariya
kahan aisa Mubakki ho ki jawe ta-falak dariya
nahin ham-chashm mere ashk ka mare hai jhuk dariya
hua hai chashm-e-hairat dekh teri aab raftari
kinare nahin raha hai khol in donon palak dariya
bhar aawe aab-e-hasrat us ke munh mein jab lahar aawe
agar dekhe tere in narm galon ke thalak dariya
nahin hain ye hubab aate hain jo nazron mein mardum ki
jalan mujh ashk ki sin dil mein rakhta hai phalak dariya
agar ho koh to rele sin is lashkar ke chal jawe
kahan sakta hai mujh anjhuwan ki faujaan sin aTak dariya
asar karne ka nahin sangin-dilan mein rowna hargiz
karare saKHt hain be-ja raha hai sar paTak dariya
yaqin aaya kiya jab us ke tain pani sin bhi patla
hamare ashk ki garmi mein kuchh rakhta tha shak dariya
nahin mumkin hamare dil ki aatish ka bujha sakna
kare gar abr-e-tufan-KHez kun aa kar kumak dariya
na howe 'abru' KHana-KHarabi kyun ki mardum ki
kya anjhuwan mein mere ab sama sin ta-samak dariya
(717) Peoples Rate This