Kaman Hua Hai Qad Abru Ke Gosha-ghiron Ka
kaman hua hai qad abru ke gosha-giron ka
tabahe haal teri zulf ke asiron ka
Dhale hai jis pe dil tis ka kiya hai zahir ism
wahi hai wo ki jo marja hai in zamiron ka
har ek sabz hai hindostan ka mashuq
baja hai nam ki baalam rakha hai khiron ka
murid piT ke kyun nara-zan na hon un ka
bura hai haal ki laga hai zaKHm piron ka
birah ki rah mein jo kui gira so phir na uTha
qadam phira nahin yan aa ke dast-giron ka
wo aur shakl hai karti hai dil ko jo tasKHir
abas hai shaiKH tera naqsh ye lakiron ka
saili mein jun ki laTakka ho 'abru' yun dil
sajan ki zulf mein laTka liya faqiron ka
(730) Peoples Rate This