Jalte The Tum Kun Dekh Ke Ghair Anjuman Mein Hum
jalte the tum kun dekh ke ghair anjuman mein hum
pahunche the raat shama ke ho kar baran mein hum
tujh bin jagah sharab ki pite the dam-ba-dam
piyale sin gul ke KHun jigar ka chaman mein hum
late nahin zaban pe aashiq dilon ka bhed
karte hain apni jaan ki baaten nayan mein hum
marte hain jaan ab to nazar bhar ke dekh lo
jite nahin rahenge sajan is yathan mein hum
aati hai us ki bu si mujhe yasman mein aaj
dekhi thi jo ada ki sajan ke badan mein hum
jo kui ki haiga aap kun rakhta hai aap aziz
yusuf hain apne dil ke miyan pairahan mein hum
kyun kar na howe click hamara guhar-fishan
karte hain 'abru' ye taKHallus suKHan mein hum
(693) Peoples Rate This