Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_0d6de8317ed8342849be6d9fd998769f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jal Mein Jis Ke Shauq Aai Hai - Abroo Shah Mubarak Poetry In English - Darsaal

Jal Mein Jis Ke Shauq Aai Hai

jal mein jis ke shauq aai hai

us ke dil kun taDaph kamahi hai

jag ke KHuban hain tujh pe sab maftun

tan mein yusuf bhi ek chahi hai

dagh sin kyun na dil ujala ho

chashm ki raushni siyahi hai

ab talak khinch khinch jaur-o-jafa

har tarah dosti nibahi hai

taur kya puchhte ho kafir ka

shoKH hai bankha hai sipahi hai

hath mein kahruba ki simran dekh

rang aashiq ka aaj kahi hai

haal aashiq ka kya bayan kije

KHwar hai KHasta hai tabahi hai

'abru' kyun na ho rahe KHamosh

dard kahne ki yan manahi hai

(709) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jal Mein Jis Ke Shauq Aai Hai In English By Famous Poet Abroo Shah Mubarak. Jal Mein Jis Ke Shauq Aai Hai is written by Abroo Shah Mubarak. Read famous Poem Jal Mein Jis Ke Shauq Aai Hai for youth and Student by Abroo Shah Mubarak. Free Download Jal Mein Jis Ke Shauq Aai Hai in PDF.