Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_25e5a1f6b34adc7c400f31a61f8ce20f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hamare Sanwle Kun Dekh Kar Ji Mein Jali Jamun - Abroo Shah Mubarak Poetry In English - Darsaal

Hamare Sanwle Kun Dekh Kar Ji Mein Jali Jamun

hamare sanwle kun dekh kar ji mein jali jamun

laga phika sawad us ka nahin lagti bhali jamun

sarapa aaj namkini o narmi o gudazi sun

hua ye sanwla goya namak mein ki gali jamun

lage hai tursh zahir mein pe hai ye sanwla miTha

maze-dari mein hai goya ye misri ki Dali jamun

tumhaare rang ki tamsil us kun dun to khul jawe

KHushi sin sanwari ho kar ke koyal ki kali jamun

kya ram sanware nen 'abru' kun dekh kar pani

laga barsat ka mausam dekho yaro chali jamun

(1220) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Hamare Sanwle Kun Dekh Kar Ji Mein Jali Jamun In English By Famous Poet Abroo Shah Mubarak. Hamare Sanwle Kun Dekh Kar Ji Mein Jali Jamun is written by Abroo Shah Mubarak. Read famous Poem Hamare Sanwle Kun Dekh Kar Ji Mein Jali Jamun for youth and Student by Abroo Shah Mubarak. Free Download Hamare Sanwle Kun Dekh Kar Ji Mein Jali Jamun in PDF.