Gunahgaron Ki Uzr-KHwahi Hamare Sahib Qubul Kije
gunahgaron ki uzr-KHwahi hamare sahib qubul kije
karam tumhaare ki kar tawaqqoa ye arz kite hain man lije
gharib aajiz jafa ke mare faqir be-kas gada tumhaare
so wen sitam sin maren bichaare agar jo un par karam na kije
paDe hain hum bich mein bala ke karam karo waste KHuda ke
hue hain bande teri raza ke jo kuchh ke haq mein hamare kije
bipat paDi hai jinhon pe gham ki jigar mein aatish lagi alam ki
kahan hai taqat unhen sitam ki ki jin pe ita itab kije
hamare dil pe jo kuchh ki guzra tumhaare dil par agar ho zahir
tu kuchh ajab nahin pathar ki manind agar yatha dil ki sun pasije
agar gunah bhi jo kuchh hua hai ki jis sin ita zarar hua hai
to hum sin wo be-KHabar hua hai dilon sin is kun bhulae dije
hue hain hum 'abru' nishane lage hain tane ke tir khane
tera bura ho are zamane bata tu is tarah kyun ki jije
(909) Peoples Rate This