Garche Is Buniyaad-e-hasti Ke Anasir Chaar Hain
garche is buniyaad-e-hasti ke anasir chaar hain
lekin apne nist ho jaane mein sab na-chaar hain
dosti aur dushmani hai in butan ki ek si
chaar din hain mehrban to chaar din bezar hain
ji koi mansur ke jun jaan karte hain fida
we sipahi aashiqon ki fauj ke sardar hain
ye jo sajti hai kaTari-dar mashru ki izar
marne ke waqt aashiq ke nangi tarwar hain
dosti aur pyar ki baaton pe KHuban ki na bhul
shoKH hote hain nipaT ayyar kis ke yar hain
jo nasha jwani ka utrega to khinchenge KHumar
ab to KHuban sab sharab-e-husn ke sarshaar hain
kis tarah chashmon seti jari na ho dariya-e-KHun
thal na paira 'abru' hum war aur we par hain
(751) Peoples Rate This