Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_bdb69c7f1b9f9abbb6e1dbdc2c4af5b9, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kuchh Hai KHabar Farishton Ke Jalte Hain Par Kahan - Abrar Shahjahanpuri Poetry In English - Darsaal

Kuchh Hai KHabar Farishton Ke Jalte Hain Par Kahan

kuchh hai KHabar farishton ke jalte hain par kahan

jati hai be-adab nigah-e-parda-dar kahan

ye sham-o-anjuman ye mai-o-jam ye bahaar

mehman raat bhar ke hain waqt-e-sahar kahan

nazzara-e-jamal hai go jaan-e-zindagi

warafta-e-jamal ko fursat magar kahan

dil arsh-gah-e-husn hai dil jalwa-gah-e-naz

ye aap hi ka ghar hai hamari guzar kahan

hai waqt-e-naza aur gham-e-ishq dur dur

jata hai sath chhoD ke ye ham-safar kahan

is be-KHudi-e-shauq mein 'abrar' kis ko hosh

manzil kahan hai main hun kahan rahbar kahan

(884) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Hai KHabar Farishton Ke Jalte Hain Par Kahan In English By Famous Poet Abrar Shahjahanpuri. Kuchh Hai KHabar Farishton Ke Jalte Hain Par Kahan is written by Abrar Shahjahanpuri. Read famous Poem Kuchh Hai KHabar Farishton Ke Jalte Hain Par Kahan for youth and Student by Abrar Shahjahanpuri. Free Download Kuchh Hai KHabar Farishton Ke Jalte Hain Par Kahan in PDF.