Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4f42bd2911b0e1b0951223e34cd25dbe, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ilahi Kya Kabhi Pure Ye Arman Ho Bhi Sakte Hain - Abrar Shahjahanpuri Poetry In English - Darsaal

Ilahi Kya Kabhi Pure Ye Arman Ho Bhi Sakte Hain

ilahi kya kabhi pure ye arman ho bhi sakte hain

mere kashana-e-dil mein wo mehman ho bhi sakte hain

koi sayyaad se puchhe ki o na-waqif-e-ulfat

ye diwane kahin paband-e-zindan ho bhi sakte hain

bata ai KHizr rah-e-ishq mein manzil hai aisi bhi

kahin hum waqif-e-asrar-e-jaanan ho bhi sakte hain

zaban-e-shauq par chha jaega mayusi-e-paiham

lab-e-KHamosh rudad-e-dil-o-jaan ho bhi sakte hain

ba-pas-e-ehtiram-e-ishq hum KHamosh hain warna

pareshan kar bhi sakte hain pareshan ho bhi sakte hain

kabhi ai dida-e-KHun-baz tu ne ye bhi socha hai

ye tohfe baryab-e-bazm-e-jaanan ho bhi sakte hain

nizam-e-zindagi 'abrar' kab tak darham-o-barham

kahin yakja ye auraq-e-pareshan ho bhi sakte hain

(848) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ilahi Kya Kabhi Pure Ye Arman Ho Bhi Sakte Hain In English By Famous Poet Abrar Shahjahanpuri. Ilahi Kya Kabhi Pure Ye Arman Ho Bhi Sakte Hain is written by Abrar Shahjahanpuri. Read famous Poem Ilahi Kya Kabhi Pure Ye Arman Ho Bhi Sakte Hain for youth and Student by Abrar Shahjahanpuri. Free Download Ilahi Kya Kabhi Pure Ye Arman Ho Bhi Sakte Hain in PDF.