Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_5117a90b30973fe0712fd3099a41f9d9, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Tumhaari Bazm Mein Jis Baat Ka Bhi Charcha Tha - Abrar Azmi Poetry In English - Darsaal

Tumhaari Bazm Mein Jis Baat Ka Bhi Charcha Tha

tumhaari bazm mein jis baat ka bhi charcha tha

mujhe yaqin hai us mein na zikr mera tha

na sard aahen na shikwe na zikr-e-dard-e-firaq

hamare ishq ka andaz hi nirala tha

kal aa gaya tha siwa neze par mera suraj

main jal raha tha magar har taraf andhera tha

tha chehra yaKH-zada jazbaat ki hasin taswir

badan kashish ka muraqqa sarab-asa tha

mujhe bhi fursat-e-nazzara-e-jamal na thi

aur us ko pas kisi aur ke bhi jaana tha

(869) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tumhaari Bazm Mein Jis Baat Ka Bhi Charcha Tha In English By Famous Poet Abrar Azmi. Tumhaari Bazm Mein Jis Baat Ka Bhi Charcha Tha is written by Abrar Azmi. Read famous Poem Tumhaari Bazm Mein Jis Baat Ka Bhi Charcha Tha for youth and Student by Abrar Azmi. Free Download Tumhaari Bazm Mein Jis Baat Ka Bhi Charcha Tha in PDF.