Tanha Udas Shab Ke Siwa Koi Bhi Na Tha
tanha udas shab ke siwa koi bhi na tha
sannaTa aaya jhank ke ghar mein chala gaya
be-kaifiyon ki jhil mein be-his se kuchh parind
baiThe the thoDi der magar is se kya hua
chehron ke maile jismon ke jangal the har jagah
un mein kahin bhi koi magar aadmi na tha
wo ajnabi yahi to wo kahta tha chiKH kar
mera adhura KHwab kahin mujh se kho gaya
chhan chhan ke aa rahi hai kidhar se ye raushni
meri fasil-e-dard ki rifat ko kya hua
(1116) Peoples Rate This