Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e020a807ca49b6556e5ff4fa94e3eec2, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kamre Mein Dhuan Dard Ki Pahchan Bana Tha - Abrar Azmi Poetry In English - Darsaal

Kamre Mein Dhuan Dard Ki Pahchan Bana Tha

kamre mein dhuan dard ki pahchan bana tha

kal raat koi phir mera mehman bana tha

bistar mein chali aaen machalti hui kirnen

aaghosh mein takiya tha so anjaan bana tha

wo main tha mera saya tha ya sae ka saya

aaina muqabil tha main hairan bana tha

nazron se churaata raha jismon ki halawat

sunte hain koi sahib-e-iman bana tha

naddi mein chhupa chand tha sahil pe KHamoshi

har rang lahu-rang ka zindan bana tha

harfon ka bana tha ki maani ka KHazina

har sher mera bahs ka unwan bana tha

(953) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kamre Mein Dhuan Dard Ki Pahchan Bana Tha In English By Famous Poet Abrar Azmi. Kamre Mein Dhuan Dard Ki Pahchan Bana Tha is written by Abrar Azmi. Read famous Poem Kamre Mein Dhuan Dard Ki Pahchan Bana Tha for youth and Student by Abrar Azmi. Free Download Kamre Mein Dhuan Dard Ki Pahchan Bana Tha in PDF.