Waqt Guzarta Nahin
waqt koi sham nahin
jise wahshat se Dhanpa ja sake
na koi git, jis ki lai
hamare honTon ki giraft mein ho
ye ek la-matanahi la-talluq hai
waqt Thahra rahta hai
un zaminon par
jahan se nae qafile nikal paDte hain
waqt-guzari ke kaThin safar par
guzishta bahut pichhe rah gaya
jahan tak koi saDak nahin jati
gaDi ki khaT-khaT se
shahr ki virani kahan kam hoti hai
muqaffal gharon
aur qahwa-KHanon ki bhunbhunahat mein
sari baaten to log karte hain!
kitabon ki jilden, kaghazon ka shor
mobile ke paighamat
aur waqt guzar jata hai
haalanki nahin guzarta
bachchon ko siDhiyan chaDha chukne ke baad
dahliz par baiTh kar
kisi be-samt ufuq ko ghurte hue?
hisab karte hue
un KHwabon ka, jo dekhe
(958) Peoples Rate This