Pas-manzar Ki Aawaz
kisi bhule nam ka zaiqa
kisi zard din ki giraft mein
kisi khoe KHwab ka waswasa
kisi gahri shab ki sarisht mein
kahin dhup chhanw ke darmiyan
kisi ajnabi se dayar ke
main jawar mein phirun kis tarah
ye hawa chalegi to kab talak
ye zamin rahegi to kab talak
khule aanganon pe
muhib raat jhuki rahegi to kab talak
ye jo aahaTon ka hiras hai
use apne maile libas se
main jhaTak ke phenk dun kis tarah
wo jo mawara-e-hawas hai
use roz-o-shab ke hisab se
karun de dimagh mein kis tarah
koi aansuon ki zaban nahin
koi ma-sawa-e-guman nahin
ye jo dhundli aankhon mein Dubta koi nam hai
ye kahin nahin
ye kahan nahin
ye qayam-e-KHwab dawam-e-KHwab
rahun is se daur mein kis tarah
unhi sahilon pe
taDapti ret mein so rahun
mujhe izn-e-zillat-e-hast ho
(902) Peoples Rate This