MiTTi Se Ek Mukalima
man kahti hai
jab tum chhoTe the to aise achchhe the
sab aabaad gharon ki maen
peshani par bosa dene aati thin
aur tumhaare jaise beTon ki KHwahish se
un ki goden bhari raha karti thin hamesha
aur main tumhaare hone ki rahat ke nashe mein
kitni umren chur rahi thi
ek ek lafz mere sine mein aTka hai
sab kuchh yaad hai aaj
ki main ek umr nigal kar baiTha hun
umr ki aaKHiri sarhad ki banjar miTTi
jab se man ke honTon se girte lafzon mein kanpti hai
meri sans taDap uThti hai
us ke miTte naqsh mere andar
kohram si ek taswir bane hain
zindagiyon ke khokhle ban par
aansuon lipTi hansi mere honTon pe larazti rahti hai
achchhi man
umr ke chalte sae ki tazlil mein
tere lahu ke ras ki lazzat
tere ghurur ki sari shaklen
un raston mein miTTi miTTi kar aaya hun
pathrili saDkon pe apne hi qadmon se
KHud ko raund ke guzra hun
mere lahu ke shor mein teri
koi bhi pahchan nahin hai
teri ujli shabih kuchh aise dhundlai hai
tujh se wasl ki aankh se
binai zail hai
main tere dardon ka mara
teri hi surat mein bhi
ek jiwan haara
(806) Peoples Rate This