Mere Pas Kya Kuchh Nahin
mere pas raaton ki tariki mein
khilne wale phul hain
aur be-KHwabi
dinon ki murjhai hui raushni hai
aur binai
mere pas lauT jaane ko ek mazi hai
aur yaad
mere pas masrufiyat ki tamam tar ranga-rangi hai
aur be-manawiyat
aur in sab se pare khulne wali aankh
main aasman ko oDh kar chalta
aur zamin ko bichhauna karta hun
jahan main hun
wahan abdiyat apni girhen kholti hai
jangal jhumte hain
baadal baraste hain
mor nachte hain
mere sine mein ek samundar ne panah le rakkhi hai
main apni aag mein jalta
apni barishon mein nahata hun
meri aawaz mein
bahut si aawazon ne ghar kar rakkha hai
aur mera libas
bahut si dhajjiyon ko joD kar tayyar kiya gaya hai
meri aankhon mein
ek girte hue shahr ka sara malba hai
aur ek mustaqil intizar
aur aansu
aur in aansuon se phul khilte hain
talab bante hain
jin mein parinde nahate hain
hanste aur KHwab dekhte hain
mere pas
duniya ko sunane ke liye kuchh git hain
aur batane ke liye kuchh baaten
main rad kiye jaane ki lazzat se aashna hun
aur pazirai ki dil-nashin muskurahaT se
bhara rahta hun
mere pas
ek aashiq ki waraftagi
dar-guzar aur be-niyazi hai
tumhaari is duniya mein
mere pas kya kuchh nahin hai
waqt aur tum par iKHtiyar ke siwa?
(1011) Peoples Rate This