Maut Dil Se LipaT Gai Us Shab
ek KHwab-e-hazimat duniya
ek aahaT dawam KHwahish ki
ek joDi qadim hathon ki
aur aankhon ke band farghul mein
ek KHwahish hamesha rahne ki
ek bistar purani yaadon ka
aur soya hua dil-e-wahshi
aahani ungliyon ke panje mein
ek ghani tirgi ke raste mein
zaiqa bhuli-bisri barish ka
ek saya jhuka hua dil par
der tak aasman se girti hui
ek maddham sada darichon mein
ek pur-shor sail ki aawaz
sans ki silwaTen Duboti hui
kaun tha is samay ke aangan mein
jagti raat ko thapakta hua
kaun tha raat-din ke phere mein
gai duniyaon se ubharta hua
ro raha tha dayar-e-ghurbat mein
aur madum ke ilaqe mein
apni aankhon mein Dal kar miTTi
KHwab takta hua main bachpan ke
ek hanste hue guzishta mein
(1021) Peoples Rate This