Majid-amjad Ke Liye
tum aate ho dur des se
dur des se aane walon par
har koi hansta hai
dil Darta hai
jab sard hawa ke aanchal mein
munh Dhanp parinde sote hain
jab sham Dhale diwaron par
kuchh sae gaD-maD hote hain
kuchh shaklen rang jamati hain
ujDi ujDi dahlizon par
KHamoshi dastak deti hai
aur band kiwaDon ki tanhai
har-su KHak uDati hai
is lamhe koi
dil mein karwaT leta hai
jab waqt ke kahil mathe par
namon ki bunden girti hain
miTTi mein KHushbu gholti hain
har phul ke dil mein
aati rut ka dhaDka jagne lagta hai
tab dhyan mein jaane kis basti se
dhime dhime qadmon ki aawaz sunai deti hai
tum aate ho
tum aaoge
dil Darta hai
(857) Peoples Rate This