Maf Kijiye Ga KHan Sahib
jaane kin rahguzaron se
dauDe chale aate hain
lashen bhanbhoDte, bu sunghte
baiTh gae hain log
ki baiThe huon ko kaTte nahin!
virani ke aqab mein
raston aur shah-rahon ke kohram
aur jalti-bujhti raushniyon ke taaqub mein
phaTe hue halaq ke sath
gaDiyon ke sath sath bhagte hain
diwar par
Tang uTha chukne ke baad
muaf kijiyega
fatah-ali-KHan sahib!
aap ka alap, kanon mein jam gaya hai
murkiyan TuTti hain
hum ruKHsat ho rahe hain
jine ke jawaz se dast-bardar
paTaKHon se patlunen bachate
phudakte phirte hain
hamari qaumi mausiqi
kafur ki mahak se bhi KHali hai
saDand hai chahaar jaanib
aur bhunkne ki aawazen
be-sur, be-tal
jaan ki aman paun
to sidha aap hi ki taraf aaunga!
(929) Peoples Rate This