Kahin TuTte Hain
bahut dur tak
ye jo viran si rahguzar hai
jahan dhul uDti hai
sadiyon ki be-e'tinai mein
khoe hue
qafilon ki sadaen bhaTakti hui
phir rahi hain, daraKHton mein
aansu mein
sahraon ki KHamushi hai
udhaDte hue KHwab hain
aur uDte hue KHushk patte
kahin Thokaren hain
sadaen hain
afsun hai samton ka
hadd-e-nazar tak
ye tarik sa jo kura hai
ufuq-ta-ufuq jo ghaneri rida hai
jahan aankh mein tairte hain zamane
ki hum Dubte hain
to is mein
talluq hi, wo raushni hai
jo insan ko jine ka rasta dikhati hai
kandhon pe
hathon ka lams-e-gurezan hain
hone ka mafhum hai ghaaliban
wagarna wahi raat hai chaar-su
jis mein hum tum bhaTakte hain
aur laDkhaDate hain, girte hain
aur aasman, hath apne baDha kar
kahin Tank deta hai hum ko
kahin phir chamakte, kahin TuTte hain
(816) Peoples Rate This