Hum Ki Ek Bhes Liye Phirte Hain
kaun se des ki babat puchhe
waqt ke dasht mein phirti
ye KHunuk sard hawa
kin zamanon ki ye madfun mahak
bad-numa shahr ki galiyon mein uDi phirti hai
aur ye dur talak phaili hui
nind aur KHwab se bojhal bojhal
eatibar aur yaqin ki manzil
jis ki taid mein har shai hai
baqa hai lekin
apne manzar ke andheron se pare
hum KHunuk sard hawa sun bhi saken
hum ki kis des ki pahchan mein hain
hum ki kis lams ki taid mein hain
hum ki kis zoam ki taufiq mein hain
hum ki ek zabt-e-musalsal hain
zamanon ke abad se larzan
wahm ke ghar ke makin
apne hi des mein pardes liye phirte hain
hum ki ek bhes liye phirte hain
(800) Peoples Rate This