Hawa Har Ek Samt Bah Rahi Hai
hawa har ek samt bah rahi hai
jilau mein kuche makan le kar
safar ke be-ant paniyon ki thakan le kar
jo aankh ke ijz se pare hain
unhi zamanon ka gyan le kar
tere ilaqe ki sarhadon ke nishan le kar
hawa har ek samt bah rahi hai
zamin chup
aasman wusat mein kho gaya hai
faza sitaron ki fasl se lahlha rahi hai
makan makinon ki aahaTon se dhaDak rahe hain
jhuke jhuke nam-zada darichon mein
aankh koi ruki hui hai
fasil-e-shahr-e-murad par
na-murad aahaT aTak gai hai
ye KHak teri meri sada ke dayar mein
phir bhaTak gai hai
dayar sham-o-sahar ke andar
nigar-e-dasht-o-shajar ke andar
sawad-e-jaan-o-nazar ke andar
KHamoshi bahr-o-bar ke andar
rida-e-subh-e-KHabar ke andar
aziyyat roz-o-shab mein
hone ki zillaton mein niDhaal subhon ki
os mein bhigti ThiThurti
KHamoshiyon ke bhanwar ke andar
dilon se bahar
dilon ke andar
hawa har ek samt bah rahi hai
(840) Peoples Rate This