Aankhen Taras Gai Hain
is ghar mein ya us ghar mein
tu kahin nahin hai
darwaze bajte hain
KHali kamre
teri baaton ki mahkar se bhar jate hain
diwaron mein
teri sansen soi hain
main jag raha hun
kanon mein
koi gunj si chakraati phirti hai
bhule-bisre giton ki
chandni raat mein khilte hue
phulon ki damak hai, yahin kahin
tere KHwab
meri be-saya zindagi par
baadal ki surat jhuke hue hain
yaad ke dasht mein
aankhen kanTe chunti hain
mere hath
tere hathon ki ThanDak mein
Dube rahte hain
aaKHir teri miTTi se mil jaane tak
kitne pal
kitni sadiyan hain
is sarhad se
us sarhad tak
kitni masafat aur paDi hai
un raston mein
kitni barishen baras gai hain
aankhen meri
teri raaton ko taras gai hain
(1693) Peoples Rate This