Zamin Nahin Ye Meri Aasman Nahin Mera
zamin nahin ye meri aasman nahin mera
mata-e-KHwab ba-juz kuchh yahan nahin mera
ye unT aur kisi ke hain dasht mera hai
sawar mere nahin sar-ban nahin mera
mujhe tumhaare tayaqqun se KHauf aata hai
ki is yaqin mein shamil guman nahin mera
main ho gaya hun KHud apne safar se begana
ki nind meri hai KHwab-e-rawan nahin mera
to aab o KHak se bach kar kidhar ko jata main
dawam-e-wasl hai baqi nishan nahin mera
phir ek din usi miTTi ko lauT jaunga
gurez tujh se rah-e-raftagan nahin mera
sada-e-shahr-e-guzishta abhi bulati hai
go ab aziz koi bhi wahan nahin mera
(838) Peoples Rate This