Ye Rah-e-ishq Hai Is Rah Pe Gar Jaega Tu
ye rah-e-ishq hai is rah pe gar jaega tu
ek diwar khaDi hogi jidhar jaega tu
shor-e-duniya ko to sun rang-e-rah-e-yar to dekh
hum jahan KHak uDate hain udhar jaega tu
dar-ba-dar hai to kahin ji nahin lagta hoga
wo bhi din aaega thak-haar ke ghar jaega tu
aazim-e-hijr-e-musalsal hua is miTTi se
lauT aaega yahin aur kidhar jaega tu
jaan jaega ki manzil nahin maujud kahin
KHush-guman hai abhi sargarm-e-safar jaega tu
aarzu rakh use pane ki koi roz abhi
phir yahin baam-e-tamanna se utar jaega tu
ye jo tufan tere gird hai diwangi ka
ek zara tez hua aur bikhar jaega tu
karwan rad hua aur chup hui aawaz-e-jaras
kya ab us samt ko ta-hadd-e-nazar jaega tu
ab kahan KHwab-e-mohabbat ki wo shab dur nahin
jab kahin KHak-bhari nind se bhar jaega tu
(868) Peoples Rate This