Yaqin Hai Ki Guman Hai Mujhe Nahin Malum
yaqin hai ki guman hai mujhe nahin malum
ye aag hai ki dhuan hai mujhe nahin malum
ye har taraf hai koi mahfil-e-tarab barpa
ki bazm-e-gham-e-zadagan hai mujhe nahin malum
liye to phirta hun ek mausam-e-wajud ko main
bahaar hai ki KHizan hai mujhe nahin malum
wo rang-e-gul to usi KHak mein ghula tha kahin
magar mahak wo kahan hai mujhe nahin malum
KHabar to hai ki yahin qarya-e-malal bhi hai
ye kaun mahw-e-fughan hai mujhe nahin malum
main tujh se dur usi dasht-e-na-rasi mein hun gum
idhar tu nauha-kunan hai mujhe nahin malum
ye dagh-e-ishq jo miTta bhi hai chamakta bhi hai
ye zaKHm hai ki nishan hai mujhe nahin malum
guzarta jata hun ek arsa-e-gurez se main
ye la-makan ki makan hai mujhe nahin malum
rawan-dawan to hai ye ju-e-zindagi har dam
magar kidhar ko rawan hai mujhe nahin malum
ye kashmakash jo man-o-tu ke darmiyan hai so hai
miyan-e-sud-o-ziyan hai mujhe nahin malum
ye ku-e-KHak hai ya phir dayar-e-KHwab koi
zamin hai ki zaman hai mujhe nahin malum
yahin kahin pe wo KHush-ru tha aaj se pahle
magar wo aaj kahan hai mujhe nahin malum
(957) Peoples Rate This