Rah Dushwar Bhi Hai Be-sar-o-samani Bhi
rah dushwar bhi hai be-sar-o-samani bhi
aur is dil ko hai kuchh aur pareshani bhi
ye jo manzar tere aage se sarakta hi nahin
is mein shamil hai teri aankh ki hairani bhi
apne majbur pe kuchh aur karam ho ki use
kam paDi jati hai ab gham ki farawani bhi
sirf afsos ka saya hi nahin hai hum par
hum ki hain KHwab-e-tab-o-tab ke zindani bhi
be-niyazi ki wo KHu jaise kabhi thi hi nahin
KHwab the jaise wo ayyam-e-tan-asani bhi
rah teri chhoD ke kyun jaanib-e-duniya aae
hum ko jine nahin deti ye pashemani bhi
(767) Peoples Rate This