Qisse Se Tere Meri Kahani Se Ziyaada
qisse se tere meri kahani se ziyaada
pani mein hai kya aur bhi pani se ziyaada
is KHak mein pinhan hai koi KHwab-e-musalsal
hai jis mein kashish aalam-e-fani se ziyaada
naKHl-e-gul-e-hasti ke gul-o-barg ajab hain
uDte hain ye auraq-e-KHizani se ziyaada
har ruKH hai kahin apne KHad-o-KHal se bahar
har lafz hai kuchh apne maani se ziyaada
wo husn hai kuchh husn ke aazar se baDh kar
wo rang hai kuchh apni nishani se ziyaada
hum pas se tere kahan uTh aae hain ye dekh
ab aur ho kya naql-e-makani se ziyaada
is shab mein ho girya koi tariki se gahra
ho koi mahak raat-ki-rani se ziyaada
hum kunj-e-tamanna mein rahenge ki abhi tak
hai yaad teri yaad-dahani se ziyaada
ab aisa zubun bhi to nahin haal hamara
hai zaKHm ayan dard-e-nihani se ziyaada
(883) Peoples Rate This