Kya Jaaniye Kya Hai Had-e-idrak Se Aage
kya jaaniye kya hai had-e-idrak se aage
bas KHak hai is teri meri KHak se aage
hai shor-e-fughan KHamushi-e-marg ke pichhe
ek tez hawa hai KHas-o-KHashak se aage
hum dekhte hain aankh mein sahme hue aansu
ek chup hai kahin KHanda-e-be-bak se aage
ek rang sa hai rang-e-tamanna se mumasil
ek abr sa hai dida-e-nam-nak se aage
main apne kisi KHwab ki munh-zor hawa mein
aksar hi nikal jata hun aflak se aage
kya shor karen girya-e-usshaq se baDh kar
kya zor karen pairhan-e-chaak se aage
(838) Peoples Rate This