Ki Jaise Kunj-e-chaman Se Saba Nikalti Hai
ki jaise kunj-e-chaman se saba nikalti hai
tere liye mere dil se dua nikalti hai
qadam baDhaun teri rahguzar hai aaKHir
magar ye rah kahin aur ja nikalti hai
yahin kahin pe hai rasta dawam-e-wasl ka bhi
yahin kahin se hi rah-e-fana nikalti hai
zarur hota hai ranj-e-safar masafat mein
ki jaise chalne se aawaz-e-pa nikalti hai
yahan wahan kisi chehre mein DhunDte hain tumhein
hamare milne ki surat bhi kya nikalti hai
har ek aankh mein hoti hai muntazir koi aankh
har ek dil mein kahin kuchh jagah nikalti hai
jo ho sake to suno zaKHma-e-KHamoshi ko
ki us se khoe huon ki sada nikalti hai
hum apni rah pakaDte hain dekhte bhi nahin
ki kis Dagar pe ye KHalq-e-KHuda nikalti hai
(901) Peoples Rate This