Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_37f9cc33dca76c2a2fe3e1c50d2e9885, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kahin Par Subh Rakhta Hun Kahin Par Sham Rakhta Hun - Abrar Ahmad Poetry In English - Darsaal

Kahin Par Subh Rakhta Hun Kahin Par Sham Rakhta Hun

kahin par subh rakhta hun kahin par sham rakhta hun

phir is be-rabt se KHake mein KHud se kaam rakhta hun

saliqe se main us ki guftugu ka lutf leta hun

aur us ke ru-ba-ru dil mein KHayal-e-KHam rakhta hun

ba-zahir madh se us ki kabhi thakta nahin lekin

darun-e-KHana-e-dil KHwahish-e-dushnam rakhta hun

KHush aai hai abhi to qaid-e-KHwahish is KHarabe mein

abhi KHud ko rahin-e-gardish-e-ayyam rakhta hun

safar ki subh mein ranj-e-safar ki dhul uDti hai

had-e-aghaz mein andesha-e-anjam rakhta hun

firaq o wasl se haT kar koi rishta hamara hai

ki us ko chhoD pata hun na us ko tham rakhta hun

dalil-e-KHwab-e-masti hai teri aamadgi imshab

magar is shab mein tujh se aur koi kaam rakhta hun

tajawuz se bhala kab tak guzar auqat mumkin thi

so apne KHun tak shor-e-dil-e-badnam rakhta hun

(788) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahin Par Subh Rakhta Hun Kahin Par Sham Rakhta Hun In English By Famous Poet Abrar Ahmad. Kahin Par Subh Rakhta Hun Kahin Par Sham Rakhta Hun is written by Abrar Ahmad. Read famous Poem Kahin Par Subh Rakhta Hun Kahin Par Sham Rakhta Hun for youth and Student by Abrar Ahmad. Free Download Kahin Par Subh Rakhta Hun Kahin Par Sham Rakhta Hun in PDF.