Jo Bhi Yakja Hai Bikharta Nazar Aata Hai Mujhe
jo bhi yakja hai bikharta nazar aata hai mujhe
jaane yun hai bhi ki aisa nazar aata hai mujhe
chashm-e-wa mein to wahi manzar-e-KHali hai jo tha
mund lun aankh to kya kya nazar aata hai mujhe
mail-e-arz-e-tamanna hai na hai waqf-e-malal
ai mere dil tu Thaharta nazar aata hai mujhe
pas-e-nazzara koi KHwab-e-gurezan hi na ho
dekhne mein to tamasha nazar aata hai mujhe
bandh lun raKHt-e-safar lauT chalun ghar ki taraf
teri jaanib se ishaara nazar aata hai mujhe
tujhe kyunkar ho ye malum mere mah-e-tamam
dagh-e-dil kaise sitara nazar aata hai mujhe
kashti-e-jaan yahi ik-adh bhanwar aur hai bas
kahin nazdik kinara nazar aata hai mujhe
dekhne dekhne mein farq hua karta hai
tumhi batlao ki kaisa nazar aata hai mujhe
(755) Peoples Rate This