Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ajkdb9ptpatqkplatnjginb591, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ek Faramosh Kahani Mein Raha - Abrar Ahmad Poetry In English - Darsaal

Ek Faramosh Kahani Mein Raha

ek faramosh kahani mein raha

main jo us aankh ke pani mein raha

ruKH se uDta hua wo rang-e-bahaar

ek taswir purani mein raha

main ki madum raha surat-e-KHwab

phir kisi yaad-dahani mein raha

Dhang ke ek Thikane ke liye

ghar-ka-ghar naql-e-makani mein raha

main Thaharta gaya rafta rafta

aur ye dil apni rawani mein raha

wo mera naqsh-e-kaf-e-pa-e-talab

ahd-e-rafta ki nishani mein raha

main ki hagama-e-yak-KHwab liye

koi din aalam-e-fani mein raha

(824) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Faramosh Kahani Mein Raha In English By Famous Poet Abrar Ahmad. Ek Faramosh Kahani Mein Raha is written by Abrar Ahmad. Read famous Poem Ek Faramosh Kahani Mein Raha for youth and Student by Abrar Ahmad. Free Download Ek Faramosh Kahani Mein Raha in PDF.